sanbhaala

kitna khush tha ki rag-e-sang se tapka hai lahu
main hansa tha ki kisi aankh mein aae aansu

main ne samjha ki tadapta hua bismil koi
zist aur maut ki lazzat ke liye tishna hai

koi kahta tha ki gulshan mein khila hai ek phul
dard-e-fan bech diya main ne masarrat ke liye

meri raaton meri subhon meri shamon ne magar
maut ke rag mein phir git sunaya mujh ko

aur ro-ro ke bataya ki masarrat kaisi
manzil-o-jada hain kya aur masafat kaisi

ye ghalat hai ki tere khun-e-jigar se pahle
sina-e-sang ho shaq aur lahu bah nikle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close