duniya-bhar se dur ye nagri nagri duniya-bhar se nirali andar armanon ka mela bahar se dekho to khali hum hain is kutiya ke jogi hum hain is nagri ke wali hum ne taj rakkha hai zamana tum aana to tanha aana dil ek kutiya dasht kinare basti ka sa haal nahin hai mukhiya pir prohit payaade in sab ka janjal nahin hai na baniye na seth na thakur painth nahin chaupal nahin hai sona rupa chauki masnad ye bhi mal-manal nahin hai lekin ye jogi dil wala ai gori kangal nahin hai chaho jo chahat ka khazana tum aana aur tanha aana aahu mange ban ka ramna bhanwra chahe phul ki dali sukhe khet ki konpal mange ek ghanghor badriya kali dhup jale kahin saya chahen andhi raaten dip diwali hum kya mangen hum kya chahen hont sile aur jholi khali dil bhanwra na phul na konpal bagiya na bagiya ka mali dil aahu na dhup na saya dil ki apni baat nirali dil to kisi darshan ka bhuka dil to kisi darshan ka sawali nam liye bin pada pukare kise pukare dasht kinare ye to ek duniya ko chahen in ko kis ne apna jaana aur to sab logon ke thikane ab bhatken to aap hi bhatken chhoda duniya ko bhatkana git kabat aur nazmen ghazlen ye sab in ka mal purana jhuti baaten sachchi baaten biti baaten kya dohrana ab to gori nae sire se andhiyaron mein dip jalana majburi? kaisi majburi aana ho to lakh bahana aana is kutiya ke dware dil ek kutiya dasht kinare