dil ka phailaw to zamin ka phailaw hai gandum phal shisham aur pani phir ladki aur hawa mein naghma dil ke parindon ka in zindon ka jo ghair-munafa-bakhsh zamin pe rahte hain pani shisham bachcha ladki tez hawa aur phal mein khwab hai subh-e-sadiq ka un auraton ka jo dusron ki marzi se byahi jati hain un boson ka jo gadi ki siti se dar jate hain shahr mein kaun hai jis ne aankh mein dariya dil mein samundar dekha aur taslim kiya hai dil ka phailaw to zamin ka phailaw hai jis mein pani shisham gandum bachcha ladki tez hawa aur phal ki rihaish-gahen hain