koh se zarrin aziyyat ke guzar jaane ke baad surkh naghma sham ka ek pal mein mar jaane ke baad han pas-az-fariyaad-o-qalb-e-dahr ki larzish ke baad din ki tum aalud-zard-o-lala-gun kawish ke baad tirgi ke dagh-e-dil se kis tarah dhounga main jagte hi jagte phir subh tak rounga main han wahi main din ko jis ki aankh thi aur aaftab han wahi main jis ne dekha dahr labrez-e-hayat zehan-e-insani mera kahta hai kha kar pech-o-tab dekh le husn-e-manazir ko nahin hasil sabaat qalb maikhane ki ha-o-hu ka aadi hai mera kuchh talluq hi nahin mujh ko sukun-e-sang se mujh ko khush aati nahin hai amn ki shab-gun faza ruh ko taskin milegi ek paiham jang se