dil hai wo aaina rishton ki chandni jis mein rahti sada jitna dil saf ho rishte utne hi nikhre rahenge yahan us chamakte hue shishe par jo kabhi baal ek aa gaya tut jae to judne na pae kabhi dil hai ek phul sa jab mohabbat ko us mein milegi jagah har taraf khushbu ban ke mahak jaega dil to dariya ke jaisa lage hai kabhi jo ghamon ko sahe aur mohabbat ki kashti chalata rahe dil to masum sa ek bachcha lage jo kabhi zid mein aae kabhi man jae kabhi man ki godi mein sar ko chhupae khub sapne sajae