hawa ki sarsarahat un ke aane ki khabar deti mera dil mor ban kar nachta hai hawa bhi bandh kar pairon mein ghunghru badi chanchal hui jati hai dekho mere hamrah wo bhi nachti hai achanak kya hua aisa hawa ke panw sakit ho gae hain na ghunghru hain na aawazen bhi us ki na bal khana na lahrana wo us ka khamoshi ki padi chadar sabhi par hare pedon ne bhi sar dhanp dala parindon ne paron mein sar chhupaya akeli main khuli aankhen hain meri kisi ke intizar mein raste ki duriyan napti hain