ai dil-e-betab tujh mein hai sifat simab ki tere qatron mein hain kuchh bunden sharab-e-nab ki tere aaina se paida hai mohabbat ka tilism teri nairangi mein poshida hai hairat ka tilism saghar-e-rangin mein hai kasrat-numai ki jhalak teri maujon ne dikhai hai khudai ki jhalak naqsh-e-ulfat se numayan ek naya andaz hai tu harim-e-ishq hai ya jalwa-gah-e-naz hai tere hisse mein azal ke din se hai gham ki faza la-makan par ja ke thahre hai teri aah-e-rasa tere ima se hazaron khanaman-barbaad hain tere virane mein lakhon hasraten aabaad hain kyon na ho tere talatum se samundar mein sukut teri maujen inqilab-e-dahr ka hain ek subut tarz-e-masti-o-khudi tere gale ka haar hai tu wo mina hai ki is se ek jahan sarshaar hai