chhai hui hai tirgi us pe ye munh ki hai jhadi raat kategi kis tarah hashr-numa hai har ghadi dekhti hai su-e-falak hae taras taras ke aankh aur mujhe duboegi aaj baras baras ke aankh girya-e-be-asar mera apna asar dikhae kya dil ki lagi bujhae kya dil ki lagi bujhae kya aaj ye abr ki garaj khub rulaegi mujhe lungi hazar karwaten nind na aaegi mujhe sine mein dil kabab hai mujh se ho sabr kis tarah ek bala shabab hai mujh se ho jabr kis tarah kaund rahi hain bijliyan abr ka zor-shor hai main hun ki be-qarar hun tum ho ki khwab-e-gor hai main ne sahe hain dukh pe dukh umr kategi yas mein taba ko intishaar hai aur khalal hawas mein zabt kahan se laun main sard hawa ko dekh kar jaan pe hai bani hui shab ki faza ko dekh kar barq ki tegh hai sitam sina figar kyon na ho zakhm-e-jigar hare hue yaad-e-bahaar kyon na ho raat ki baat yaad hai raat ka pyar yaad hai nind-bhari wo chashm-e-mast us ka khumar yaad hai hai ye janaza-e-shabab ya ki mera palang hai aah tumhein khabar nahin jaan se koi tang hai kya hi wo khush-nasib hain raj hai aur suhag hai motiyon se bhari hai mang rang hai aur rag hai kya hi wo khush-nasib hain jin ke liye singar hai aah mera shabab-e-husn ranj se ham-kanar hai kuk rahi hain koyalen jhum rahi hain daliyan papi papiha is taraf bol raha hai pi kahan pi hai kahan bataun kya qissa-e-gham sunaun kya maut bhi rahbar nahin pi ka suragh paun kya uf ye kaleje ki dhadak hae ye aah-o-zariyan khalq hai mithi nind mein mujh ko hain be-qarariyan josh hai paemal-e-gham past hain ji ke hausle rasm-o-riwaj ka asar mit raha hai walwale