pal hi pal mein ye sara tamasha hua shahr ke panw mein sansanati hui ek goli lagi aur wo chakra ke dharti pe aundha gira dekhte dekhte us ke chaaron taraf khun ka ek talab sa ban gaya jhadiyon se dari sahmi chidiyan udin unche unche darakhton ke gunjaan patton mein dubke hue sab parinde ude chikhte chikhte aur dahshat-zada aasmanon ke sahraon mein kho gae khun ka ek chhota sa talab hai is mein chup-chap aundha pada shahr hai kash de kar zara sa sahaara use ab utha le koi us ki edi ki haddi mein atki hui garm zahrili goli nikale koi shahr zinda hai ab tak bacha le koi