zamin ghumti hai roz apne mehwar par falak khada hai usi tarah sar uthae hue dinon ke pichhe lagi hain usi tarah raaten safar hai jari usi tarah ab bhi lamhon ka hawa ke dosh pe khushbu ke qafile ab bhi ruten badalne ka paigham le ke aate hain hamare bich magar fasle jo qaem hain kisi tarah nahin kam hote badhte jate hain!