dilli se wapsi

rukhsat ai dilli teri mahfil se ab jata hun main
nauhagar jata hun main nala-ba-lab jata hun main

yaad aaenge mujhe tere zamin-o-asman
rah chuke hain meri jaulan-gah tere bostan

tera dil dhadka chuke hain mere ehsasat bhi
tere aiwanon mein gunje hain mere naghmat bhi

rashk-e-shiraaz-kuhan hindostan ki aabru
sar-zamin-e-husn-o-mausiqi bahisht-e-rang-o-bu

mabad-e-husn-o-mohabbat bargah-e-soz-o-saz
tere but-khane hasin tere kalisa dil-nawaz

zikr yusuf ka to kya kije teri sarkar mein
khud zulekha aa ke bikti hai tere bazar mein

jannaten aabaad hain tere dar-o-diwar mein
aur tu aabaad khud shair ke qalb-e-ar mein

mahfil-e-saqi salamat bazm-e-anjum barqarar
nazninan-e-haram par rahmat-e-parwardigar

yaad aaegi mujhe be-tarah yaad aaegi tu
ain waqt-e-mai-kashi aankhon mein phir jaegi tu

kya kahun kis shauq se aaya tha teri bazm mein
chhod kar khuld-e-ali-gadh ki hazaron mahfilen

kitne rangin ahd-o-paiman tod kar aaya tha main
dil nawazan-e-chaman ka chhod kar aaya tha main

ek nasheman main ne chhoda ek nasheman chhut gaya
saz bas chheda hi tha main ne ki gulshan chhut gaya

dil mein soz-e-gham ki ek duniya liye jata hun main
aah tere mai-kade se be-piye jata hun main

jate jate lekin ek paiman kiye jata hun main
apne azm-e-sarfaroshi ki qasam khata hun main

phir teri bazm-e-hasin mein laut kar aaunga main
aaunga main aur ba-andaz-e-digar aaunga main

aah wo chakkar diye hain gardish-e-ayyam ne
khol kar rakh di hain aankhen talkhi-e-alam ne

fitrat-e-dil dushman-e-naghma hui jati hai ab
zindagi ek barq ek shoala hui jati hai ab

sar se pa tak ek khunin rag ban kar aaunga
lala-zar-e-rang-o-bu mein aag ban kar aaunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close