hai sal-e-nau ki aamad har shakhs ko khushi hai kya rang laega ye is ki nahin khabar kuchh main jaanta hun zalim teri ye dil-lagi hai dil mein nahin kisi ke jo maut ka khatar kuchh ai waqt-e-be-murawwat ai waqt-e-be-murawwat aalam ka lahza lahza mein haal kya se kya hai muflis abhi tha koi masnad-nashin abhi hai jita koi abhi tha ab dafn ho raha hai zalim kabhi rifaqat tu ne kisi ki ki hai ai waqt-e-be-murawwat ai waqt-e-be-murawwat kahna kisi ghadi ko apna ghalat sarasar aalam jise hain kahte taghir ka hai maskan tujh ko agar main samjhun thahra ghalat sarasar zalim laga hua hai tujh mein bala ka engine ai waqt-e-be-murawwat ai waqt-e-be-murawwat the khar-zar jis ja hai bulbulon ka maskan allah kis ghazab ke har aan hain ye phere thin mahfilen jahan par hai bekason ka madfan ye hathkande hain tere ye hathkande hain tere ai waqt-e-be-murawwat ai waqt-e-be-murawwat