din guzarta nazar nahin aata

din guzarta nazar nahin aata
raat kate nahin katti

raat aur din ke is tasalsul mein
umr bante se bhi nahin batti

teri aawaz mein tare se kyon chamakne lage
kis ki aankhon ke tarannum ko chura lai hai

kis ki aaghosh ki thandak pe daka dala hai
kis ki banhon se tu shabnam ko utha lai hai

din bahar-haal bahar-taur guzar jata hai
sham aati hai to ajab rang le ke aati hai

ek tanhai jo maut ki tarah khamosh
har nai sham naya bhes badal aati hai

han koi aur hoga tu ne jo dekha hoga
hum nahin aag se bach bach ke guzarne wale

sahar nasib mein ho to sahar milegi zarur
wagarna zindagi kat jaegi bas raat ki raat

na intizar na aahat na tamanna na umid
zindagi hai ki yun behis hoti jati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close