wae taqdir main gadha na hua ham-nawa krishn chandr ka na hua master ki palak jhapakte hi haziri de ke main rawana hua wahi aaya sawal parche mein ek din ka bhi jo padha na hua khel bhi hum sake na ji bhar ke khelne ka bhi haq ada na hua muddaton apne master ji se madrase mein bhi samna na hua main wo dada hun sab ko mar ke bhi aaj tak qabil-e-saza na hua 'kaif' maidan-e-sher-goi mein koi 'ghaalib' sa dusra na hua