aur phir subh ne lapete dabiz khwabon ke narm bistar din ki dukhti ragon mein utre shadid mayusiyon ke nashtar simat ke baithe alam ki tahni pe par-burida shikasta-pa aarzu ke tair wafa ke aangan mein na-tawan khasta-haal umidon ki sans ukhdi aur diwar-o-dar pe mandlae kina-khu nafraton ke dil-char shikasta lamhon ke karwan zist ke shoala-bar sahra mein kasa-e-dard le ke nikle ki koi chashma mile to ruh ki tishnagi mitaen wagarna badhte rahen aarzu mein