dam-e-visal nigahon mein hijr ka manzar misal-e-gardish-e-aina aise bolta hai ki jaise kucha-e-khak-e-wajud ke andar ghubar nind ka hairat ke raaz kholta hai main jagta hun magar shahr mere sath nahin hawa ne baam pe rakkhe diye bujhae hain shab-e-siyah ne hum sab ke dil dukhae hain main be-kanar se raste pe panw panw chala kinara-e-mah-o-anjum ki samt kho baitha mere halif mujhe ruh ki aman de kar dua ke dasht mein mujh ko akela chhod gae barahnagi mere chehre ko dhanpne aai ulajh rahe hain mere khwab meri aankhon se main unghta hun ki shayad wo din palat aaen ki jin ke pas amanat hai meri chaaragari main muntazir hun ki shayad ba-waqt-e-qurb-e-sahar meri jabin pe ujale ka dagh ban jae hisar-e-chashm mein aansu charagh ban jae!