din ki aankhen to andhi ho hi chuki hain

par meri aankhen na jaane kyon subh hi se jalne lagti hain
raat sula to deti hai

magar phir din bhar jism par rengti rahti hai
ammi

tumhaare nae mitti wale ghar ka rasta
mere raste hi mein padta hai

lekin kya karun
mere daftar ki bas to sat baje hi nikal jati hai

main bas mein baith to jati hun
lekin na jaane kyon der tak tangen kanpti rahti hain

ammi
gali mein aaj bhi wo pagal phirta rahta hai

jis se bachane ki khatir
tum gali ke kone tak aa jati thin

ammi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close