tabib-e-azam

jo zakhm main ne tujhe diye hain
jo zakhm tu ne mere khayalon ke in

gudaz aaza pe diye hain
wo ab faza mein bikhar gae hain

hamare jismon ki qaid se wo
nikal gae hain

bikhar gae hain har ek shai mein
hawa mein pedon mein baadalon mein

wo koh-o-dariya ki chuppion
aur shor-o-ghul mein utar gae hain

jidhar bhi dekhun
wo zakhm chupke chupke

ris rahe hain
jo bagh mein ek kali ko chhu lun

to ungliyon pe mawad sa kuchh
dikhai de de

jo baadalon se tapke pani
to bund mein sad rahe lahu ki

mahak si aae
kabhi jo ghabra ke koi

kitab utha lun
to us ke pannon pe

pattiyon ka guman ho jo ki
abhi utari gai hun

kisi ke zakhm-khurda badan se
suna hai hum ne

ki waqt to ek chaara-gar hai
aur us ki zambil mein

kitne nuskhe
kahan na jaane wo gum hua hai

ki lamhe lamhe mein kis jatan se
dhundhta hun

kahaniyon mein hai zikr jis ka
wo tera mera waqt jo hai

tabib-e-azam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close