jab se aai hai dipawali har taraf chhai hai raushni har jagah chahaton ke diye sham hote hi jalne lage phul-jhadiyon ka bazar hai ye patakhon ka tehwar hai dipon ka hai suhana saman jin se dharti bani kahkashan jitne rocket patakhe chale aasman par lage hain bhale ho gain dur tarikiyan ab hain raushan zamin aasman jab se aai hain dipawali har taraf chhai hai raushni ek mauqa hai pahchan ka dil milati hai insan ka chahaton ki ye taswir hai ek nae yug ki tabir hai