sajae khwab aankhon mein sahar se sham tak anjaan rahon mein ubharte dubte sayon ko takti hai koi shahzada aa jae bana kar khwab ka hissa use le kar chala jae khula rahta hai har lamha daricha dard ka us ke magar aata nahin koi siyahi sham dhalte hi nigal jati hai khwabon ko ujalon chhod jata hai use phir dusra bistar sajaane ko