diwali raghubir ki pak yaad ka unwan liye hue zulmat ke ghar mein jalwa-e-taban liye hue tarikiyon mein nur ka saman liye hue aai hai apne sath charaghan liye hue allah-re ye tab ye tanwir ye jamal khurshid ki nazar bhi hai jamni yahan muhaal tari hai zahidon pe bhi aalam surur ka ab kis liye khayal ho hur-o-qusur ka aalam to dekhiye shab-e-yalda pe nur ka julte hain ye charagh ki jalwa hai tur ka manzar bahisht ka hai ye shab hai shab-e-baraat tanwir-e-aftab ka partaw hai aaj raat wo ram jo ki kaamil-e-sidq-o-safa raha wo ram jo ki salik-e-rah-e-huda raha wo ram jo ki aaina-e-haq-numa raha wo ram jo ki qate-e-jaur-o-jafa raha ye raat yaadgar hai us nek zat ki us paikar-e-khulus ki wala sifat ki chaudah baras ke baad jo aaya watan mein ram har lab tha waqf-e-naghma to har dil tha shad-kaam thi rashk-e-nur subh-e-banaras awadh ki sham ahl-e-ayodhya ki zaban par tha ye kalam hum be-bason ka qafila-salar aa gaya ban-basiyon ki fauj ka sardar aa gaya