diwali ke dip jale hain yar se milne yar chale hain chaaron jaanib dhum-dhadaka chhote rocket aur patakha ghar mein phul-jhadiyan chhute man hi man mein laddu phute dip jale hain ghar aangan mein ujyara ho jae man mein apnon ki to baat alag hai aaj to sare ghair bhale hain diwali ke dip jale hain ram ki jai-jai-kar hui hai rawan ki jo haar hui hai sachche ka har bol hai baala jhute ka munh hoga kala sachchai ka danka baje sach ke sar par sahra saje jhut ki lanka khak bana ke ram ayodhya laut chale hain diwali ke dip jale hain hindu muslim sikh isai mil kar khaen yar mithai bhul ke shikwe aur gile sab hanste gate aaj mile sab kahne ko har dharm juda hai lekin sab ka ek khuda hai ek mati ke putle 'haidar' is sanche mein khub dhale hain diwali ke dip jale hain