garmi ka hai zamana sardi hui rawana aankhen dikhae suraj tan-man jalae suraj pani hawa hua hai jangal jala hua hai hoti hai saen saen ghusse mein hain hawaen uthte hain yun bagule jaise gagan ko chhu le titar bater tote khaen hawa mein ghote dharti dahak rahi hai mitti sulag rahi hai gir jae jo zamin par bhun jae hai wo dana garmi ka hai zamana sardi hui rawana mausam badal raha hai insan pighal raha hai utra gale se muflar munh tak rahi hai chadar tah ho gai razai khali hai chaarpai kambal sahj rakhi hai malmal gale lagi hai pankhon ko jhal rahe hain ab fan chal rahe hain heater se khauf khaen coolar chalae jaen har shai badal rahi hai kya mard kya zanana garmi ka hai zamana sardi hui rawana aati hai yaad nani karte hain pani pani sharbat ka daur aae qulfi dilon ko bhae tarbuz bik rahe hain kharbuz bik rahe hain dukan koi khole beche hain barf-gole ghar ghar mein hum ne dekha pite hain ruh-afza lassi ka bol-baala kafi ka munh hai kala jis se mile hai thandak us ka jahan diwana garmi ka hai zamana sardi hui rawana