dar-o-diwar par chhai hai udasi gham ki mahw-e-hairat hai khushi dida-e-hairan ki tarah koi jhonka koi aahat koi aawaz nahin raat viran hai kisi shahr-e-khamoshan ki tarah din dhale dekh liya tha koi udta baadal kunmunati hai faza mausam-e-baran ki tarah dur pardes ki rahon mein bhatakte rahi dil mein phir yaad teri aai hai mehman ki tarah wo sar-e-sham dar-o-baam pe jalte dipak kya meri tarah tujhe yaad nahin aate hain raushni mein wo nahae hue ujle manzar kya nigahon mein teri aaj bhi lahraate hain kya wo bite hue pur-nur chahakte lamhe aaj bhi dil mein tere git koi gate hain kya tere khwab gham-e-haal ke virane mein ab bhi mazi ka fasana koi dohraate hain wo ujale jo teri tarah mujhe bhul gae dur se ab meri fariyaad nahin sun sakte dil ke taron ko bahut jama kiya hai main ne wo magar naghma-e-ehsas nahin ban sakte meri aawaz ko jazbaat ki diwar ke par sun to sakte hain magar sar ko nahin dhun sakte main jo roun bhi to ye waqt ke andhe sathi kisi bikhre hue moti ko nahin chun sakte dip-mala ki ye bechain bilakti hui raat us ke daman mein mere ashk-e-rawan palte hain ham-safar koi nahin hai meri tanhai ka chand sae hain jo hamrah mere chalte hain dabdabai hui aankhon mein hai sawan ki jhadi aur dil mein mere yaadon ke shajar palte hain dekh main ne bhi manai hai yahan diwali meri palkon pe bhi ashkon ke diye julte hain