wo harf-e-akhir kahan gaya hai wo harf jis ki tahon mein apni mohabbaton ki jo ek kahani chhipi hui thi wo ek kahani ki jis ki rau se hi umr bhar ka qarar pate bahaar pate mohabbaton mein surur dil ka suragh pate wo harf-e-akhir kahan gaya hai wo harf jo ek shajar ki surat hamare gulshan-numa makan mein bahut aziyyat bhari faza mein khizan ke mausam ke daeron se guzar ke fasl-e-bahaar lata wo harf aakhir kahan gaya hai wo harf hi to hamare sar par jo ek saya-numa shajar tha ki jis ke sae mein rah ke hum sab dukhon ke sare azab ke din khushi khushi hi guzar lete wo harf-e-akhir bichhad ke hum se kahan gaya hai ye sara qissa bayan kar ke jo aaj hum ne kisi se puchha wo ghaur kar ke alamaton ko samajh ke sanjidgi se bola 'azim' wo harf mar chuka hai