ho rahe hain raat ke diyon ke har su ehtimam subh se jalwa-numa hai aaj diwali ki sham ho chuki ghar ghar sapedi dhul rahi hain naliyan phirti hain kuchon mein mitti ke khilaune waliyan bholi-bhaali bachchiyan chandol papa kar magan apni gudiyon ke gharondon mein saji hai anjuman rasm ki in hikmaton ko kaun kah dega fuzul rakh diye hain thikron mein khana-dari ke usul jit mein har shakhs wo nau-khez ho ya pukhta-kar haar se inkar lab-ha-e-masarrat par nisar sard mausam ka ladakpan garm chulhon par shabab barf mein saqi laga laya hai mina-e-sharab abkhare ban kar kadhai par hawa lahki hui har gali pakwan ki bu-bas se mahki hui ghi tuda kar pas walon ki khabar leta hua char se shaalon par tapak jaane se bu deta hua adh-jale indhan ka aankhon mein dhuan bharta hua nargis-e-shahla mein simab-e-khizan bharta hua nek-dil patni ka hissa hai musibat jhelna puriyan talne ka pas-manzar hai papad belna halwa-e-be-dudh ki thaalon ka bahr-e-be-karan kashtiyan bahti hain ya aa ja rahi hain mohriyan salimon ke sath hain tute khilaune khand ke mor ka sar sher ka dhad panw ghaeb sand ke sahn mein khelen batashe abr se barse hue bartanon ke pas pattal raat ke parse hue kho gai hain kaam ke andar kunwari ladkiyan sath wo ham-joliyan bhi aai hain jo mehman ek nazuk ungliyon se dewte dhoti hui dusri dhoe huon ko chun ke khush hoti hui aur gadwa tisri aafat ki par-kala liye battiyan batti hai chauthi rui ka gala liye panchwen har su diye tartib se dharti chali aur chhati batti saja kar tel se bharti chali ye jhamakka kar chuka aarasta jab taq dur sahn se zine pe dauda aur pahuncha baam par odh kar kamli sawad-e-sham nikla sharq se junhi ru-karaon pe chhaya thode thode farq se sham ka gesu khuli aankhon pe jadu kar gaya bujh gai sham-e-shafaq nazron mein kohra bhar gaya tur ka jalwa charaghon mein simat kar rah gaya aankh malna thi ki nazzara palat kar rah gaya raushni mein sariyon ke rang lahrane lage mukhtalif aanchal hawa ke rukh pe bal khane lage ye diwali ke manazir ye nigahen kaamyab ya ilahi ta qayamat bar na aayad aaftab