hathi kan gala hai jis ka astar udhda daman khiska aakhir tum kya doge us ka itne kam silwai de do panch nahin to dhai de do fi silwat nau pai de do ye lo ghundi kaise wala aage pichhe gadbad-jhaala jahil hai na hindi kala buddha tu kya soch raha hai monchhon ko kyun noch raha hai shayad jada kuch raha hai aa sardi se pind kata le koi uni coat chuka le us din ko bhagwan utha le jis din ye pahnawa chhodun janm ke sathi se munh modun na-samjhon se kya sar phodun rassi jis tahzib ki dhili botal ho jis chaak mein gili sab jalti hai sukhi gili ye jis ki bhi utran hogi ya bhangan ya kanchan hogi bewa banjh girahstan hogi german aurat ka har daman jab jhatka khae ka kundan bilkenge be-ginti jiwan meri ye khaddar ki pindi un se unchi rui ki mandi un coaton ko kali jhandi