tu mujhe god mein le ke yaron azizon mein bazar-o-daftar ko jata mujhe yaad hai ye shahr ki nim tarik galiyon mein aksar main sunta tha ek dar ki chap apne pichhe se aati mere bachpan ki shaffaf masum aankhon mein na-mehrban jaane pahchane chehron ka dar tha mere dil ka ye shisha ek an-hone dar se tadakh sa gaya tha ki jis ki sada tak nahin thi ye wo dar tha ki jis ki koi ek tashrih mumkin nahin thi magar mere kachche se dil mein ek aasebi pipal ki jad thi mujh ko tu ek din inhi mein akela chhod dega jis ki shakhen hirasan nigahon se nikli wo shakhen mujhe bed-e-majnun sa larzae rakhtin tera sina wo diwar-e-kaba tha jis se chimat kar main duniya ke har gham se begana hota tere mushfiq do lab goya bab-e-haram the wo bosa nahin tha halawat ka dar ek khula tha jis se shirin latafat mein gundhi tamazat mere din ko taban meri raat ko garm rakhti dar andhere ka dar shahr ki tang-o-tarik galiyon ka dar mere bachpan ka hissa raha hai dar wo school ke raste mein khade ek majhul insan ka dar jis ko khud hum se dar tha dar wo matruk baalin pe dera kiye kuchh chudailon ka dar jo hamesha ka qissa raha hai khair ye dar to bachpan ka hissa hue be-murawwat shanasa se chehron ka dar hai abhi bhi mere andar ka sahma sa bachcha wo diwar-e-kaba abhi dhundhta hai ki jis mein aman thi aaj daftar salamat hai bazar-o-kuche ki raunaq wahi hai wo diwar-e-kaba magar ab nahin hai main nowember ke us sard din mein thethurta hun ab bhi ki jab tu akela mujhe kar gaya tha