tumhaari did ki khwahish liye jab bhi tumhaari jhil aankhon tak pahunchti hain wahan pahle se hi ek aankh yani tisri maujud hoti hai ye sun rakkha tha main ne roz-marra ki misalon mein ki andhon mein jo kana ho isi ka raj chalta hai magar andar hi andar har koi waqif hai bhitar jo kahani hai yahan kana to bina shakhs par bhi raj karta hai ye kana kya koi dajjal hai tum jis se dar kar mujh se pahle us ko apna aap achchhe se dikhati hai tum apni did ka pahla niwala us ko deti ho mujhe jhuta khilati ho nahin khana mujhe dajjal ka jhuta ye main us se nahin bas dil hi dil mein khud se kahta hun use malum hi kab hai ki ye jo tisri hai us ke retina ka pichhla dar jahan khulta hai wo diwar duniya ko nikalti hai meri bardasht sah jae agar bas ek hi dajjal tum ko dekh sakta ho yahan lekin tumhaara sab ka sab duniya mein jitne hain wo sab ke sab main ye sab sah nahin sakta tumhein dekhe bina bhi rah nahin sakta mujhe b pi ka koi masala pahle nahin tha han magar ab khun mera kholta hai jab kabhi gadi chalate waqt koi board aa jae jahan likha hua ho speed kam rakkhen yahan se kuchh qadam aage sadak par camere ki aankh tum ko dekhti hai