suraj ko sar par uthae uthae aaj main ek diwar ke sath sath kai mil chala apne bichhde hue doston ko dhundhta hua ye bahut der mein khula ki main diwar ke is taraf hun aur wo us taraf main puchhna chahta hun kisi se ki ye containers ki diwar hai ya nafrat ki