samundar khan ek pashtu ka shair ja raha tha ganw se dur ek virane mein yak dam ek jhapaka sa hua aur zehn ke parde pe ek dhundla hayula banne aur mitne laga par shumi-e-qismat qalam hi jeb mein tha aur na kaghaz ka koi purza samundar khan ruk kar aur ek patthar pe tik kar mich kar aankhon ko duniya aur ma-fiha se begana hua phir sham ko ganw ke logon ne ajab nazzara dekha dhalte sayon mein samundar khan wo pashtu ka shair dagmagata hanpta apne pasine mein nahata pith par do man ki ek chattan lade ganw ki sarhad mein dakhil ho raha hai aur us ke ba'd aadat ban gai us ki samundar khan virane se bhaari sil koi jab tak utha ke ghar na lata tha to us par nazm ki ek satr tak ilqa na hoti thi so rafta rafta us ki kothari dalan aur chhat an-ghadi be-dhab silon ke bojh se dabte gae ek din samundar khan wo pashtu ka shair khurduri nazmon ke us ambar ke niche dhansa paya gaya