diwaron ka jangal jis ka aabaadi hai nam bahar se chup chup lagta hai andar se kohram diwaron ke is jangal mein bhatak rahe insan apne apne uljhe daman jhatak rahe insan apni biti chhod ke aae kaun kisi ke kaam bahar se chup chup lagta hai andar se kohram sine khali aankhen suni chehre pe hairani jitne ghane hangame us mein utni ghani virani raaten qatil subhen mujrim mulzim hai har sham bahar se chup chup lagta hai andar hai kohram haal na puchhen dard na banten us jangal ke log apna apna sukh hai sab ka apna apna sog koi nahin jo hath badha kar girton ko le tham bahar se chup chup lagta hai andar hai kohram bebas ko doshi thahrae us jangal ka nayay sach ki lash pe koi na roe jhut ko sis nawae patthar ki un diwaron mein patthar ho gae ram bahar se chup chup lagta hai andar hai kohram