tumhein kya zindagi jaisi bhi hai tum ne us ke har ada se rang ki maujen nichodi hain tumhein to tut kar chaha gaya chehron ke mele mein mohabbat ki shafaq barsi tumhaare khal-o-khad par aaine chamke tumhaari did se khushbu tumhaare pairahan ki har shikan se izn le kar har taraf wahshat lutati thi tumhaare chahne walon ke jhurmut mein sabhi aankhen tumhaare aariz-o-lab ki kanizen thin tumhein kya tum ne har mausam ki shah-e-rag mein undele zaiqe apne tumhein kya tum ne kab socha ki chehron se ati duniya mein tanha sans leti hanpti raaton ke be-ghar ham-safar kitni mashaqqat se gareban-e-sahar ke chaak site hain tumhein kya tum ne kab socha ki tanhai ke jangal mein siyah lamhon ki chubhti kirchiyon se kaun khela hai tumhein kya tum ne kab socha ki chehron se ati duniya mein kis ka dil akela hai