ja rahe the do gadhe ek rah se apni nadani pe wo nazan hue rasta gum tha ghubar-o-gard se ja rahe the gadariye bheden liye sochte jate the kuchh donon gadhe rasta tai kar rahe the sochte aage wala dil se yun goya hua pichhe jo aata hai mere ye gadha rahnumai kar raha hun us ki main baadshahi kar raha hun sab ki main mujh se badh sakta hai kya ye bhi kahin nakhuda hun aaj main hi bil-yaqin dusra bhi ja raha tha sochta hun shahanshah aaj apne waqt ka samne jata hai jo wo hai ghulam kar raha hai aage aage intizam pichhe aata hai mere lashkar tamam hai hukumat ka mere dam se nizam aaj main hi qafila-salar hun aur sari fauj ka sardar hun the gharaz donon usi dhun mein lage dekhte hargiz na the wo samne rasta bhatke hue the wo magar ja rahe the phir bhi be-khauf-o-khatar raste mein un ke aaya ek kuan us ki haiat hi se thi wahshat ayan dham se wo donon gadhe us mein gire aur girte hi wo donon mar gae hosh mein jo bewaquf aate nahin aql ko jo kaam mein late nahin haal un ka hai gadhon se bhi saqim wo saza pate hain aisi hi yatim honhaaro in gadhon se daras lo chhod do shekhi ko kaam apna karo