achchha chalo chhodo tum batao kab ke nikle kab aae tum to bade pakke ho kya kaha han wahi dhun ke yahi matlab achchha mani to waise bhi sab ke apne hain aji dil ki chhodo chhod hi do na subh gae sham to aati hi nahin raat to tumhaari apne nam kaam ki hai kaun jaane kise akela pa kar sath nibhane jate ho han yahan nahin to yahan kise zarurat na tumhaari na raat ki wo kya hai ki bas sham ki aas zara tut jati hai ghadi aise jaise aawazon ke dhakkon se chalti ho lo bhala tum hi batao kaun diye jalane baithe aur phir hawaon se unhen bachata phire tum bhi to nahin hote warna ek hatheli tumhaari hoti to main thakti na bas jiye jati chahe ghadi ki tik-tik jaisi ya phir waisi jaisi tumhaari nazron ke samne rahne waliyan jiti hain nahin khudara ye ilzam nahin ye ajab girah hai tum kholo to khul jae khol kar dekhna