do kirnen

teri yaadon ki ye bakhshi hui alhad khushbu
dil ke virane mein is tarah se dar aati hai

jaise bosida maqabir mein ujale ki kiran
tod kar halqa-e-zulmat ko lahraati hai

tujh se pahle bhi kisi ajnabi rahi ne yahan
dil-e-betab ko khushbu ka sitam bakhsha tha

phul se honton ne zakhmon ke dahan khole the
nim-khwabida nigahon ne wo gham bakhsha tha

aaj tak jis ko liye gardish-e-lamhat ke sath
rah-guzaron pe bhatakta hun bagulon ki tarah

is tamanna mein ki kat jaegi ye dard ki raat
sochta hun tere masum tabassum ki kiran

ban bhi sakti hai kabhi aakhir-e-shab ka paigham


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close