ek maut ek ehtijaj

los angeles ke zartab shabistanon mein
so gai aaj wo aawaz ki jis ka jadu

bu-e-gul ban ke uda kucha-ba-kucha har su
ban ke ek chikh laraz jati hai ab kanon mein

shab-e-gesu shafaq-e-lab rukh-e-taban ki sahar
kho gae aaj andheron ke sanam-khanon mein

khwahish-e-marg mein dubi hui shadab-nazar
bujh gai dard ke haibat-zada aiwanon mein

zulf-e-zarrin ki mahak phul se honton ki hansi
nashsha-e-husn mein bahki hui alhad raftar

chashm-e-gul-gun ki kiran dast-e-hinai ki bahaar
dhal gai raat shab-e-rafta ki rudad bani

ab bhi kuchh kahne ko betab hain wo hont jinhen
mil saka mahfil-e-hasti mein na izn-e-guftar

ab bhi sine mein tadapta hai wo qalb-e-mahzun
mil saki jis ko na be-laus mohabbat ki bahaar

bistar-e-marg pe sakit hai wo naqsh-e-mani
jis ki pur-nur jawani ko hawas-karon ne

mabad-e-fan ke khudaon ne jahan-daron ne
ek mitti hui tahzib ke sardaron ne

qarya qarya sar-e-bazar kiya tha nilam
gardish-e-waqt ke daman pe rahega ilzam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close