sardiyon ke mausam mein pichhli raat ko chhat par hum jo ek duje se chandni ki barish mein be-zaban jazbon ki khushbuon se milte the husn-e-dilruba tera lafz ki haqiqat se kitna be-talluq tha an-kaha suna sab kuchh lamha-e-masarrat tha jab se lab-kushai ke silsile hue jari teri meri bahson ne an-kaha suna sab kuchh mantiqon dalilon ke wahimon se gadlaya aur phir mohabbat ke sab gulab sanwlae aaj ajnabiyyat ki be-samar fazaon mein hum ki ek duje se kitne be-talluq hain awwalin rifaqat ki sari khaslaten kho kar is bisat-e-hasti par sirf do payaade hain