do tarah ke hain badan do tarah ke pairahan ek sajal be-rang resham sa libas jis mein lipta mera fan jis mein palte hain khayal ek tarah ka pairahan taza ujle sut ka jis mein rakha hai badan aur mere khatt-o-khal pairahan upar ka utre to pahan lun main kisi diwar ko ya guman ko chhod kar main yaqin ko odh lun pairahan andar ka utre aur hun main be-libas aagahi ko dhund kar main is zamin ko odh lun