qissa dohri shahriyat ka ek hijrat ne likkha hai jism ki hijrat kahiye us ko hathon aur pairon ki hijrat nak kan aur honton ki hijrat mera jism yahan hai lekin ruh ka dera aur kahin hai mere purane ham-sae sab mera chehra mangte hain aur nae hain jitne bhi wo jaan rahe hain mujh ko naya aaine mein mujh ko apna dhundla khaka dikhta hai apni jeb mein rakhta hun main donon khaton ki ek pahchan taki bhul na jaun main ye apni zat aur nam-nishan