wo ek sitara jo aasman ki bulandiyon se utra ghulam hindostan ki muhib tarikiyon mein chamka jis ne sakit fazaon ko irtiash bakhsha shuur ko bedariyan ata kin aur zamir ko jhinjhoda be-fikr zehnon ko fikr ki hararat se joda dilon mein sham-e-azadi-e-watan jalai ki jis se dilon ke siyah-khane munawwar hue wo jaanta tha ki aahan aahan ko kantta hai wo askari taqaton se jabir askariyyat ke istihkaam ko para-para kar ke watan ko aazad karne ka khwab bunta raha wo azm aur hausle ki qindil apni salib-e-jaan par jala ke raushni aur tamazaten bantta raha wo jaanta tha apne safar ki ibtida aur intiha ka hasil wo zehn ki wusaton mein is ummid ke sath azaem ke bij bota raha ki aane wali nasl us fasl ko kaamyabi aur kaamrani se kat sake