us se jab kahta hun main mera ek nanha-munna dost hai puchhta hai kaun hai samne ki dant us ke aath sab shaffaf moti mishalen us ki sharir par aankhon mein raushan lab pe us ke nit-nae taza hasin alfaz shair awwalin shair tilsmati zaban ka awwalin shair wo sheron hathiyon gendon sunahri battakhon ki bandaron ki hamd gata hai khilauna gadiyon mein shahar ki masruf sadkon par mujhe aur man ko ammi aur abba ko ghumata hai meri baaton pe mera nanha-munna dost hansta chachahata hai main nanha dost hun main hi wo nanha dost hun main dost hun main dost hun main puchhta hun mera nanha dost mujh se pyar karta hai to kitna pyar karta hai wo bazu kholta hai aur zamin-o-asman un mein chhupa kar mujh se kahta hai bahut karta hun itna dher sa itna bahut karta hun ghoda ruk gaya mera kabutar ud gaya chidiya jo dana kha gai wo main bhi khaunga gilahri so na jae aur bandar un ko main biscuit khilaunga mujhe tota dikhao sabz chonch aur surkh tota richh kutta bhediya billi ka bachcha un ki taswiren kahan hain aaj un ke pas jaunga unhen main un ki taswiren dikhaunga