kalai ki ghadi ko aaj bade pyar se utara aur us ki kunji ko khinch kar ek asafal paryas kiya ghadi ko rokne ka phir bhi jab na mani ghadi to chatka kar us ka kanch kuchh ghawon se us ki ek sui ko tod diya ghadi bhi ziddi qism ki hai rukne ka nam nahin hai leti kitna mushkil hai waqt ko pakad kar rakhna ya bandhna use kisi waqiye ke sath kuchh bigdega kya us ka yadi wo kuchh der thahar jaega to aakhir mein ek sui ko pakad kar mod diya kuchh is tarah ki atak jae wo waqt wahi main un lamhon ko mahsus karta rahun wo lamha jahan main kuchh bhi nahin lekin gham bhi nahin mere kuchh na hone ka ab atka kar samay ko main mauj manaunga