dosto aao aaj aasman ki gahri nilahaton par apni udasi ka jal phenken aur dekhen ye gol gol chand sitare jo bushirt mein tanke hue batanon ki tarah jagmagate hain kyon hath nahin aate hain kis liye dur khala ki barf si chadar adh-khuli aankh ki tarah khwabida hai kaun hai jo aasman ke sabz gumbad mein baitha hua sadaon ke samandar niche aur niche bahata ja raha hai patal lok ki be-khwab nagri mein base hue log apni khaal ke andar ke zakhm ko maze le le kar apne tez nakhunon se khurachte hain aur rahat ki sans lete hain pahchan ke sare alfaz sirf hawa mein tairte hain honton se nikle hue shabdon ki kadiyan sirf dikhawa matr hain kahin kuchh bhi nahin na koi aata hai aur na koi jata hai sirf ek wahshi samandar hai jo din-raat chikhta hai udas naslon ko apne anjam ke liye kuchh bhi nahin sochna hai dekhne aur sunne ka kaam karte hain computers is liye fikr ki koi baat nahin botal ko hath mein le kar yunhi pite raho