apni hasti ko na samjha jo wo insan hun mein kaun hun kya hun use soch ke hairan hun mein hun gul-e-tar koi ya khar-e-mughilan hun main dard-e-sar hun ki kisi dard ka darman hun main raaz hun dida-e-idrak se pinhan hun main lakh sar mara magar uqda-e-mani na khula kaun hun kya hun main sad-haif na samjha aslan naqsh mit-mit ke bana zehn pe ban-ban ke mita wo jo taswir ke sanche mein kabhi dhal na saka ek musawwir ka wo takhil-e-pareshan hun main wo jo jannat se nikala gaya aadam main hun nar gulzar hui jis pe wo mahram main hun main hi namrud hun firaun-e-mujassam main hun main hi musa hun dam-e-isa-e-mariyam main hun phir bhi ek khamushi-e-gor-e-ghariban hun main daur-e-zulmat ka har ek naqsh mitaya main ne wahm ko durr-e-haqiqat se sajaya main ne mashal-e-rah-e-amal kun ko banaya main ne jab se tadbir ko sine se lagaya main ne apni taqdir se bhi dast-o-gareban hun main main jo chahun gham-e-hasti ka izala kar dun zulmat-e-bakht ko ek pal mein ujala kar dun dair ko kaba to kaba ko shiwala kar dun zarre-zarre ko jahan ke tah-o-baala kar dun pa-ba-jaulan hun magar hashr-ba-daman hun main qar-e-dariya ko jo chahun to kinara kar dun ghaiz mein aaun to pani ko sharara kar dun misl-e-simab samundar ko do-para kar dun chand tukde ho jo ungli se ishaara kar dun apni quwwat pe khud angusht-ba-dandan hun main hai musallam abadi khaliq-e-akbar ka wajud roz-e-raushan mein ho jaise shah-e-khawar ka wajud be-haqiqat hai magar khak ke paikar ka wajud na-tawan zarre se badh kar nahin manzar ka wajud qatra-e-ab hun ashk-e-sar-e-mizhgan hun main