ye scenary hai ye taj-mahal ye kirshn hain aur ye radha hain ye coach hai ye pipe hai mera ye nowel hai ye risala hai ye radio hai ye qumqume hain ye mez hai ye gul-dasta hai ye 'gandhi' hain 'tagore' hain ye ye shahansha ye malika hain har chiz ki babat puchhti hai jaane kitni masum hai ye han is par raat ko sone se mithi mithi nind aati hai han is ke dabane se bijli ki raushni gul ho jati hai samjhi ki nahin ye kamra hai han mera drawing-room hai ye itni jaldi mazdur aurat aakhir ye gale mein banhen kyun le der hui ab bhag bhi ja bas itni mohabbat kafi hai is mulk ke bhuke pyason ko paise hi ki hajat kafi hai itni hansmukh khamoshi itni manus nigahen kyun main soch raha hun kuchh baitha pipe ke dhuwen ke baadal mein main chhup sa gaya hun ek nazuk takhil ke maile aanchal mein