dhundlai hui sham thi alsai hui si aur waqt bhi basi tha main jab shahr mein aaya har shakh se lipte hue sannate khade the diwaron se chipki hui khamoshi padi thi rahon mein nafas koi na parchhain na saya un galiyon mein kuchon mein, andhera na ujala darwazon ke pat band the, khali the dariche bas waqt ke kuchh basi se tukde the, pade the main ghumta phirta tha sar-e-shahr akela darwazon pe aawaz lagata tha, koi hai? har mod pe ruk jaata tha shayad koi aae lekin koi aahat, koi saya bhi na aaya ye shahr achanak hi magar jag pada hai aawazen hirasat mein liye mujh ko khadi hain aawazon ke is shahr mein main qaid pada hun