mujhe tu muzhda-e-kaifiyyat-e-dawami de mere khuda mujhe eazaz-e-na-tamami de main tere chashma-e-rahmat se kaam kaam rahun kabhi kabhi mujhe ehsas-e-tishna-kaami de mujhe kisi bhi muazzaz ka ham-rikab na kar main khud kamaun jise bas wo nek-nami de wo log jo kai sadiyon se hain nasheb-nashin buland hun to mujhe bhi buland-baami de teri zamin ye tere chaman rahen aabaad jo dasht-e-dil hai use bhi tu lala-fami de bada surur sahi tujh se ham-kalami mein bas ek bar magar zauq-e-khud-kalami de main doston ki tarah khak uda nahin sakta main gard-e-rah sahi mujh ko narm-gami de agar girun to kuchh is tarah sar buland girun ki mar kar mera dushman mujhe salami de