main tere bahattar sathiyon mein nahin tha mujhe to ishq ne muntakhab kiya tha ek wahshat-nak bhid thi mere ird-gird magar main is bhid mein hote hue bhi kisi wahshat ka hissa na tha main to tanha tha ahl-e-hakam ke nazdik to ek baghi tha aur wo tamam hujum jo faqat hujum tha be-chehra be-kirdar be-zehn faqat hujum jo apni ghalat zaruraton ki khatir wahi kahte jo ahl-e-hakam kahte wahi sunte jo unhen sunaya jata wahi dekhte jo unhen dikha jata su-e-husain-ibn-e-ali tum baghi thahre main is hujum ka hissa nahin tha magar tum tak aane ke liye mujhe is hujum se guzarna tha tumhaare sach ko jaanne ke liye main ne kitne hi jhut sune main baatil ke raston ko ubur kar ke haq tak pahuncha main tere behtar sathiyon mein nahin tha magar mashiyyat ko manzur tha ki husain hur se mile ki tarikh ko bawar ho ahl-e-ishq ke faisle khuda ke faisle hote hain jis ne zamane ki qasam kha kar khasare ka mafhum samjhaya aur main ne jum-e-ghalat ke darmiyan is mafhum ko pa liya main tere bahattar sathiyon mein nahin tha husain main tera hur tha