dua aur bad-dua ke darmiyan jab rabte ka pul nahin tuta to main kis tarah pahuncha bad-duaen dene walon mein main un ki ham-nawai par hua mamur ham-awaz hun un ka ki jin ke nama-e-amal mein in bad-duaon ke siwa kuchh bhi nahin un ke kahe par aaj tak baadal nahin barse kabhi mausam nahin badle koi tufan, koi sailab un ki aarzuon se nahin palta ye nadan, sare maqtulon ki fihristen uthae aasman ko dekhte hain aur samajhte hain ki duniya un ke nam aur shakl-o-surat bhul jaegi wagarna qatilon ko khud-kushi karna padegi aur ye itne bahadur bhi nahin hote to jab tak aasmanon aur hamare darmiyan hail hujum-e-qatilan chhatta nahin hatta nahin parda dua aur bad-dua ke lafz ham-mani rahenge ab dua-e-zindagi qatil ko den ya bad-dua khud ko